TAAZIME AHELE BAIT 23OUR24

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴






 *🥀 MUHARRAM 🥀*





➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
               *TAAZIME AHLE BAIT...D*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 *```➡Post-23```*

🔻Siyedi Abdul wahhaab sheraani...alayhirrehmah...farmate hai...k..kaashiful bahirah...ne aik siyed ko mara to usi raat khwaab mein use Aaqa ki ziyaarat hui k Aaqa usse naaraaz hai..usne arz ki...Ya Rasulallaah Mera kya gunah hai..?
      Farmaya...Tu Muje maarta hai jab k Mein qayaamat k din tera Shafie hun...usne arz ki...muje yaad nahi k mene aapko maara ho...Aapne farmaya...Kya tune Meri awlaad ko nahi mara..?...usne arz ki...Haan...
       Farmaya... Teri zarb ( maar ) Meri kalaai par lagti hai...fir Aapne Apni kalaai khol kar dikhaai...jis par waram tha jayse shahad ki makkhi ne dank maara ho...
          ....ALLAHUAKBAR....
🔻Hazrat Shamsuddin...bayaan karte hai k...Aik din Qaazi jamaaluddin mahmood ajami ki khidmat me haazir huwa jo Qaherah k governor the wo apne khaadimon k saath siyed Abdur Rehman muazzin k ghar aaye or ijaazat maangi....jab wo baahar aaye to governer ko apne ghar dekh kar hairat zadah huwe...
       Governer ko andar le gaye or sab baith gaye governer saab ne siyed sahab se kaha k...Muje maaf kar dein...Siyedsaab hairat se bole k..kya maaf karun..?...Unhone kaha...kal raat me qile par gaya or baadshah k saamne beth gaya or aap aaye or mujse bhi unchi jaga par beth gaye....
       Mene apne dil me kaha...Ye baadsha ki mehfil mein mujse unche kyun beth gaye..?...
      Jab mein raat me soya to muje Huzur ka diidaar huwa...Aaqa ne farmaya... Mahmud tuje aeteraaz hai k tu meri awlaad se niiche bethe...?
      Ye sun kar siyedsaab ro pade....Or kaha Mein kahan aysa hun k Rasulullah muje yaad kare...

.....sallallahu alayhi wasallam.....
.....SUBHAANALLAAH.....

*📚BARAKAATE AALE RASOOL...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*


              *☆TAAZIME AHLE BAIT...E☆*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*```➡Post-24```*

🔻Taazime Aale Rasool k talluq se Siyedi Sarkaar Aalahazrat...alayhirrehmah...ka aik imaan afroz waqea aapki nazar hai....
        Imaame Ahle sunnat ki sawaari k liye paalki darwaaze k saamne laga di gayi thi...dast bosi or paabosi ka silsila khatm hone k baad paalki me bethe or paalki chal padi..aage piche daaein baaein niyaaz mandon ki bhiid bhi chal rahi thi..
      Paalki kuch der chali hogi k Aalhazrat ne aawaaz di...Paalki roko... Hukm hote hi rok di gayi..saath mein chalne waali bhid bhi ruk gayi... 
      Bechaini ki haalat me baahar nikle or paalki uthaane waalon ko bharraaii hui aawaaz mein pucha...Aap logon me koi Aale Rasul to nahi...?.... Tumko Aaqa ka wasta sach bataa do...
🔻Is sawaal par paalki walaon mese aik mazdoor k chehre ka rang ud gaya..peshani par ghairat ki lakiir ubhar aayi..kuch der k bad nazar jhukaein or dabi zaban se bola.. 
      Mazdoor se kaam liya jaata hai zaat paat nahi puchi jaati aapne mere Nana ka wasta dekar mera raaz ko faash kar diya Mein hi us chaman ka murjhaaya huwa phool hun jiski khushbu aapne mehsus ki...
     Kuch mahinon se is sheher me aaya hun koi hunar nahi jaanta isliye in mazdooron k saath ho gaya shaam apni mazdoori ka hissa lekar bachchon me pohonch jaata hun..
      Abhi us siyed zaade ki baat bhi puri hui na thi k logon ne aik hairat angez manzar dekha k...Aalame Islaam k aik muqtadir Imaam ka saafa us siyed zaade k qadmon par rakkha hai or baraste huwe aansuon se rote huwe siyed zaade se iltija kar raha hai..
🔻Aey Muazzaz Shehzaade meri gustaakhi ko maaf kardo..be khabri me ye ghalti ho gayi... Qayamat k din agar kahin Aaqa ne puch liya k... AhmedRaza kya Mere farzandon k kandhe isiliye the k wo teri sawaari ka bojh uthaein..?...To mein kya jawaab dunga..Us waqt bhare maidaane mehshar me meri kaisi ruswaai hogi..
     Zabaan se baar baar maafi mangne or maaf kara lene k bad fir aik iltija pesh ki...
     Shezaade be khabri me jo ghalti hui iska kaffara tabhi ada hoga jab k Tum paalki me betho or mein use kandhe par uthaaun..
Allahuakbar...
      Wo manzar kitne dil gudaaz tha k Ahle sunnat ka Imaam paalki uthaane waalon ki line mein khada ho kar apne Ilm O Fazl.. Jabba o dastaar or apni Aalmgiir shohrat ka saara aezaaz Huzur ki khushi ( razamndi ) k liye aik gumnaam mazdoor par nichaawar kar raha hoga...

...SUBHANALLAH...ALLAHUAKBAR
...sallallahu alayhi wasallam.....
▪Ye hai muhabbate Ahle bait Or Taaziime Ahle bait... Aalahzrat k sadqe..Aye Allah hamein bhi aysi hi muhabbate Ahlebait ata farma..AAMIIN..

*📚KHUTBAATE MUHARRAM...*
*AZ-ALLAMA ARSHADUL QAADRI...*





👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

हुज़ूर ﷺ ने इमाम हुसैन رضی اللہ عنہ पर किसको कुर्बान किया है*05

मुहर्रम उल हराम में ब्याह शादी करना कैसा है* 02

आशूरा के दिन नेक काम करना कैसा* 09