संदेश

जून, 2020 की पोस्ट दिखाई जा रही हैं

SHANE SIDIQE AKBAR 01OUR02

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 QAADRI FAIZ MUHARRAM 🥀* *ALLAH K HABIIB KI SHAAN O RUTBA*  - 🔻Ye tamaam kaayenaat hamare Aaqa..alayhissalaa..ka sadqa hai...        Hazrte..Aadam...alyhissalaam..se lekar qayaamat tak or baad mein bhi aapka hi sadqa batega...        Aadam...alayhissalaam se jab laghzish hui to unhone isi mubaarak O muqaddas zaat k naame paak ko wasila banaaya to Allah rabbul izzat ne pucha k.. 🔻Tumne is naam k baare mein kaise jaana...to Arz ki... Aey Allah tera naam bada hi baa barkat hai or jab tune muje payda farmaya to..        Meine arsh ki taraf dekha to us par ye likkha huwa dekha k...Allah k siwa koi maabud nahi Muhammed Allah k rasool hain...        Mein usi waqt jaan gaya k Allah k nazdiik is hasti se badh kar aziim koi nahi ho sakta k...Jiska naam Allah ne apne naam k sath likha..       Allah rabbul izzat ne irshad frmaya...Aye Aadam yahi wo zaat hai jo aapki awla...

SHIMAR ZIL JOSHAN IBNE SAA'AD 55OUR56

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 MUHARRAM 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖  ```SHIMAR ZIL JOSHAN - IBNE SAA-AD``` ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ *```▶Post-55```* 🔻Ibne saad ne khush hokar ibne ziyaad ko khat likha k maamla baghair khoon kharabe k hi hal ho gaya...Ibne ziyaad ne khat padhkar use manzoor bhi kar liya.. 🔻Lekin shimar zil joshan khada huwa or kaha k... Agar aapne Husen ko jaane diya to wo taaqatwar ho jayega or tum kamzor ho jaoge agar ye baat manzoor kar li to kamzori ki nishaani hogi Unko to aap k hukm par sar jhuka dena chaahiye or aapko to saza dene ka bhi haq hai..rahi ibne saad ki baat to pata chala hai k wo or Husen raat raat bhar bethe baatein karte hain...       Shimar ki in baaton ne ibne ziyaad ki raay badal di or usne jawab diya k...Ibne saad Tumko isliye nahi bheja k Husen ko bachaane ki fikar karo or unki sifaarish karo...Agar Husen or un k saathi mere hukm par sar jhuka dein to mere paas bhej do or na maane to un k sar kaat kar bhej do...        Or agar tum ye ...

IMAAM SE MUQABLE KE LIYE 20000 53OUR54

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 MUHARRAM 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖   ```IMAAM SE MUKQABLE k liye 20,000``` ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ *```▶Post-53```* 🔻Jab Imaame Husen Nainwa k qarib pohnche to ibne ziyaad ka qaasid khat lekar aa gaya k Husen ko aage badhne se rok kar or chatiyal maidan me aysi jaga rok do jahan paani na ho...         Or khat laanewale ko hukm tha k wahin ruk kar report dete raho k hukm par amal hota hai k nahi... Hur ne Aapko khat dikhaya...khat dekh kar Aap k saathiyon ne kaha... Ya Siyedi inse jang kar lena aasaan hai isse pehle k dusri fauj ( army ) or aajaaye...Magar Aapne Apni taraf se shuruaat nahi ki...Hur khaamosh raha...kuch duur or chale k Hur k sipahiyon ne hukm diya k bas yahin utar jayein...Furaat yahan se duur nahi... 🔻Aapne puucha k kya naam hai is jaga ka..?...Jawab diya gaya..Karbala naam hai...Iska naam sunte hi ghode se utar pade or farmaya...        YE KARBALA HAI...KARB O BALA ( dukh or musiibat )...  ★ YAHIN HAMAARE UUNTON K B...

IMAAME HUSAIN KE QAASID QAIS MUSLIM KI SHAHADAT KI KHABAR 51OUR52

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 MUHARRAM 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖       ```IMAME HUSEN K QAASID-QAIS    MUSLIM KI SHAHADAT KI KHABAR``` ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ *```▶Post-51```* 🔻Imaame Husen ne Maqaame haajir se Aapne aik qaasid ko khat dekar bheja...jab ye qaasid khat lekar qaadsiya k qariib pohnche to fauj se naaka bandi kii hui thi aapko giraftaar kar liya...       Ibne ziyaad ne kaha Agar jaan ki salaamti chaahte ho to governor house ki chhat par se Husen bin Ali k khilaaf taqriir karo...Wo chhat par chadh gaye or Imaam Husen ki khoob taarif ki Imaam Husen ka saath dene ki apiil kii..fir ibne ziyaad ki or yaziid ki khoob buraai ki...        Ibne ziyaad ne ghusse me unko chhat se niiche giraa kar shahiid kar diya...saari haddiyaan chaknaa choor ho gayi...Is tarah Imaam Husen ki himayat ki saza me shahaadat ka jaam piya... Inna lillahi wainna ilayhi raajiuun 🔻Jab Aap saalbiya pohnche to Ye khabar mili k Hazrat Muslim or Haani bin Urwah ko shahiid kar ...

IBNE ZIYAD JAILER KI SHAHADAT BACHCHON KE QATIL KA ANJAAM 49OUR50

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴  *🥀 MUHARRAM 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖   ```IBNE ZIYAD-JAILER KI SHAHAADAT     BACHCHON K QAATIL KA ANJAAM``` ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ *```▶Post-49```* 🔻Jailer jiska naam Mashkoor tha ahlebait ki muhabbat mein jab usne bachchon ko chhod diya to ibne ziyaad ne jailer ko talab kiya or poocha k tune bachchon ko kyun chhod diya...to..        Bola ahlebait ki muhabbat mein...ibne ziyaad bola k tuje mujhse dar nahi laga...Mashkoor bola...Jo Allah se darte hai wo kisi se nahi darte....ibne ziyaad bola...unko chhod kar tuje kya mila.... Bola muje ummid hai k mere ye karne se Allah or Rasool raazi honge or qayaamat k din meri shafa-at k zariye bakhshish ho jaayegi..        Ibne ziyaad bola k ab dekh tuje kaisi saza deta hun...Jailer bola ye to aik jaan hai agar 1000 jaanein bhi hoti to sab ahle bait par qurbaan kar deta... Ibne ziyaad ne jallaad se kaha k ispar itne kode ( hanter ) maaro k ye mar jaaye..  ★ Pehle kode par jail...

HAZRATE HAANI KI SHAHADAT 47OUR48

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴  *🥀 MUHARRAM 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖     HAZRATE HAANI KI SHAHAADAT ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖  Post-47 🔹Hazrate Muslim ki shahaadat k baad Hazrate Haani jinhone apne ghar mein panaah di thi unki shahaadat... 🔻Hazrate Muslim ki shahaadat 3 zulhijja hijri 60 ko hui...       Aapki shahaadat k baad koofaa walon par aysa khauf chha gaya k logon ne gharon se nikalna chhod diya har taraf sannaata chha gaya k aik dusre ki khabar na thi...        Yahan tak k Hazrat Haani bin Urwah jin k qatal ka sun kar un k qabile waalon ne governor house gher liya tha....lekin Jab unko bazaar mein le jaa kar qatal karne ka hukm huwa...Haani ko haath baandh kar le jaa rahe the to Wo pukaar rahe the....        Kahan hai mere qabile waale mere ghar waale meri jaan kyun nahi bachaate....magar koi nazar nahi aaya jo Haani ki madad karta...jab wo maayus ho gaye to zor laga kar apna haath rassi se aazaad kara kar zorse pukaare k koi laathi.....

HAANI KI GITAFTAARI MUSLIM TANHA 45OUR46

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴  *🥀 MUHARRAM 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖  ```HAANI KI GIRAFTARI-MUSLIM TANHA``` ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ *```▶Post-45```* 🔹Hazrate Muslim ki talaash....Jaasusi.....Haani ki giraftaari...Governor house ka gheraaw.....koofiyon ki ghaddaari.... 🔻Hazrate Muslim ki talaash shuru hui or shaami jaasus k zariye pata chala k wo Hazrat Haani k ghar theh-re huwe hai...jaasus aqidat mand ban kar wo roz haazri deta raha..       Aik din Hazrat Haani ko bulaya gaya or puucha gaya k Muslim kahan hai...aap inkaar karte rahe to us shaami ko bulaya gaya use dekh kar aap k hosh ud gaye...       Ibne ziyaad se ijaazat maangi k muje jaane do mein Hazrat Muslim ko apne ghar se nikaal dunga..ubaidulla ne aik na suni aap k chehre or sar dande maar maar kar lahu luhaan kar diya or qaid kar diya.. 🔻Jab Hazrat Haani k nisbati ne kaiin hazaar logon k saath...jo hathiyaar k sath the...governor house ko gher liya..or pukaara k ham hukumat k baaghi nahi lekin hamaare sardaar ko...

KUFIYON KE KHUTUT O UNKA JAWAB 43OUR44

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴  *🥀 MUHARRAM 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ ```KUFIYON K KHUTUT O UNKA JAWAB``` ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ *```▶post-43```* 🔻Ab jab koofa waalon ko malum huwa k Amiir Muaaviya ka intiqaal huwa or Imaame Husen ne yaziid ki bay-at se inkaar kar diya to Taarikhe Tibri ki riwayat k mutaabiq Sulemaan naam k shakhs k makaan mein Imaam k chaahne waale jama huwe or wahan ye nakki huwa k Imaam ko khat likhein.. 🔻Imaame Husen ko khat likha gaya k or arz kiya gaya k...Hamare sar par koi imaam nahi hai to Aap tashrif laaiye k Aapki barkat se hamko haq ki himaayat nasib ho..      Ye pehla khat Abdullah bin Subii hamdaani or Abdullah bin Daal k haatho Imaame aali maqaam ki khidmat mein bheja gaya...jo 10 ramazaan 60 hijri ko Makkah E muazzama pohncha... 🔻Is khat k baad 2 hi din mein aysi 53 arziyan taiyaar hui...jo 2..3..4..ki signs k saath..2..3..logon k haath bheji gayin..or kuch alag alag khaas logon ki bhi gayin..jo thode thode dinon k baad Imaame Husen ko mili. 🔻Aakhri khat jo Ha...

IMAME HUSAIN MADINE SE RUKHSAT 41OUR42

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴  *🥀 MUHARRAM 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖  *IMAME HUSEN MADINE SE RUKHSAT* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ *```▶Post-41```* 🔻Allah k Nabi ka wisaal madina e munav-varah mein huwa..isse pata chala k saare shehron mein Aapko madina sab se pyara hai..or isi wajeh se Imaame Husen ko bhi bohot pyara tha...magar haalaat ne aapko ye pyara sheher chhodne par majboor kar diya..safar ki taiyari mukammal ( complete ) ho gayi to Imaame Husen aakhri salaam arz karne k liye apne naana jaan hamare Aaqa Muhammadur Rasulullah ki baargaah mein haazir huwe.... 🔻Hamare Aaqa Imaame Husen k Naana jaan ne aapki parwarish apni aaghoshe rehmat O mohobbat mein kii thi...us waqt roza e anwar mein Aaqa ka kya haal huwa hoga...ye soch kar hi ahle mohobbat k dil laraz jaate hai. 🔻Ye din kitne ranj O gham ka din tha k Jigar gosha e Rasool...Farzande Ali O Batool...jinka sab kuch madine mein hai...magar aaj wo madine se hamesha k liye jaa rahe hai. 🔻Imaame Aali maqaam apne Naana ko aakhri..alwadaai salaam keh kar r...

YAZID KI BAYAT OUR SAHAABA 39OUR40

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 MUHARRAM 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖       *YAZIID KI BAY-AT OR SAHAABA* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ *```▶post-39```* 🔻Hazrate Amiir Muaaviya ki wafaat k baad yaziid ne hukumat par beth-te hi apni bay-at ( himaayat..support ) k liye har taraf hukmat k logon ko bheja..Madina e munavvarah k governer Waliid bin Uqbaa the...       Unko bhi hukm diya gaya k tamaam madine k khaas O aam se meri bay-at lo..or khaas kar...  ★ Husen bin Ali...  ★ Abdullah bin Zubair...  ★ Abdullah bin Umar...       In se pehle bay-at lo or zara bhi in logon ko mohlat na dena... 🔻Waliid hukm sun kar ghabra gaya..k jaanta tha k yaziid ki bay-at in logon se lena aasaan nahi..usne mashware k liye Marwaan bin Hakam ko bulaya...       Ye marwaan bin hakam wo hai...K...jab payda huwa tha to..tehniik ( bachche ko sabse pehli miithi chiiz chabaa kar khilaana ) k liye laaya gaya to Aaqa ne farmaya tha...k Ye girgit ka beta girgit hai.. 🔻Marwaan ko o...

KUCH YAZID PALID KE BARE MEIN 37OUR38

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 MUHARRAM 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖  *KUCH YAZID PALID K BARE MEIN...A* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ *```▶Post-37```* 🔻Yaziid Amiir Muaaviya...radiyaalahu anhu..ka beta tha..jiski kunniyat abu khaalid hai..Umaiya khaandaan ka ye wo badbakht insaan tha k jisne Nawaasae Rasool..jigar gosha e batool Siyeduna Imaame Husen k khoon se apne haath range... 🔻Or isi wajeh se har zamaane mein log us par malaamat karte rahe or rehti duniya tak log us kamiine par malaamat karte rahenge..ye bad baatin 25 wi Hijri mein payda huwa... 🔻Yazid bohot mota..   ★ badnuma.....★ bad khalq..  ★ faasiq...........★ faajir..  ★ sharaabi......★ badkaar..  ★ zaalim..........★ be adab or gustaakh tha...iski bad kaariyan saari hadon ko paar kar gayi thi... 🔻Hazrate Hanzala ( ghasiilul malaaika ) k bete kehte hain k..yaziid par hamne us waqt hamle ki taiyaari kii jab ham logon ko dar huwa k iski buraaiyon ki wajeh se kahin ham par aasmaan se azaab na aa jaaye..iski fisq O fujoor ka ye aal...

KUFIYON KE KHATON KI TAFSEEL 35OUR36

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 MUHARRAM 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖  *KUFIYON K KHATON letters KI TAFSIL* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ *```▶Post-35```* 🔻Pehla khat jo koofiyon ki taraf se likkha gaya us me likha k hamaare sar par koi imaam nahi Aap tashriif laiye Allah taala Aapki barkat se hamko haq ki himaayat nasiib kare...       Damishq ( damaascus ) ka governor Nomaan moujood hai magar ham us k saath namaaz e juma nahi padte na Eid-gaah jaate hai...       Jab hamko pata chalega k Aap aa rahe hai to ham usko yahaan se nikaal kar mulke shaam ( siriya ) jaane par majboor kar denge...       Pehla khat Abdullah hamdaani or abdullah bin daal k haathon rawaana kiya gaya Imaame Husen ki khidmat mein jo 10 ramzaan ko 60 hijri ko makka sarif pohncha...       Fir 2 dinon mein is tarah k 3 alag alag logon k zariye 53 khutoot mile jin me har khat par 3..4 logon k sign hote the...fir kuch dinon k bad kuch khaas logon ki arziyaan mili... 🔻In khaton k madde nazar Im...

IMMAM KI MAKKE SE RAWANGI 33OUR34

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 MUHARRAM 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖     *IMAAM KI MAKKE SE RAWAANGI* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ *```▶Post-33```* 🔻Imaame Husen ki parwarish Aaqa ki aagoshe rehmat me madine me hui thi...Us waqt Roza e Anwar mein Aaqa ka kya haal huwa hoga iska tasawwur ahle muhabbat soch sakte hain...       Aah ye din kitna ghamgiin tha..Seiyeda Faatema k laal ka sab kuch madine mein hai magar aaj wahi madina chhoot raha hai or wo bhi hamesha hamesha k liye...       Aap alwada alwada kehte huwe Naana jaan ( hamare Aaqa ) k roze se waapas huwe or doobte dil k saath madine sharif par hasrat bhari aik nazar daali or makke sarif ki taraf rawaana ho gaye...Ye waaqeaa 4 shabaan 60 hijri ka hai... 🔻Jab Aap makke pohnche.....logon ko khabar hui....to diiwaana waar log Aapki mulaqaat k liye toot pade...      Makke me Aap normally rahe na to yaziid k khilaaf kisi ko bhadkaaya na Apni himaayat k liye logon se kuch kaha na koi lashkari taaqat ki tiyaar kii... ...

IMAME HUSAIN KI SHAHADAT KI KHABAR 31OUR32

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 MUHARRAM 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖  *☆IMAM HUSEN KI SHAHADT KI KHABR☆* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ *```▶Post-31```* 🔻Harate Abbaas ki zauja ( biwi ) farmati hai..k...Mene aik roz haazir ho kar Imaame Husen ko Aaqa ki godme diya...      Mene dekha k Huzur ki aankhon se aansu baras rahe hai...Mene arz ki..Ya Rasulallah..Mere maa..baap Aap par qurbaan ye kya haal hai...?      Irsad farmaya Mere paas Jibraiil..alayhissalaam...aaye or ye khabar de gaye k...Meri ummat Mere is farzand ( bete ) ko Shahiid kar degi...      Ye sunkar Mene arz ki Ya Rasulallah...kya is farzand ko shahid kar degi..?...Farmaya...Haan.. Or fir Jibriil Mere paas iski shahaadat gaah ( karbala ) ki laal mitti bhi laaye... 🔻Jibraiil ne Muje khabar di...k..Mere bete Husen ko Mere baad arde tef ( karbala ) mein qatal kiya jayega Or jibriil Mere paas wahaan ki ye mitti bhi laaye or Mujse kaha k...Ye Husen ki khwaabgaah ki mitti hai...Tef koofa k paas ki jaga ka naam hai ji...

SHANE IMAAME HUSAIN 29OUR30

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 MUHARRAM 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖        *☆SHAANE IMAAM E HUSEN...B☆* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖  *```➡Post-29```* 🔹Huzur...sallallahu alayhi wasallam..ne irshaad farmaya...      Mafhume Ahadis... 🔻Hasan or Husen jannati jawaanon k sardaar hain... 🔻Hasan or Husen dunya k Mere 2 phool hain... 🔻Jisne in dono se muhabbat ki to usne Mujh se muhabbat ki Or jisne in dono se dushmani ki usne Mujse dushmani ki...( jab Sarkaar ne ye farmaya tab aik kandhe par Hasan Or dusre kandhe par Husen the ) 🔻Allama Jaami...alayhirrehmah...farmate hai k...Aik roz Aaqa apne siidhi taraf Imaame Husen or ulti taraf Apne Shehzaade Hazrat Ibraahim...alayhirrehmah...ko bithaaye huwe the... 🔻Us waqt jibraiil...alayhissalaam...haazir huwe or arz ki...Ya Rasulallah...Allah taala in dono ko Aap k paas jama na rakkhega...in mese aik ko waapas bula lega..Aap in dono mese aik ko pasand farma lein...      Huzur ne farmaya... Agar Husen rukhsat ho jaayein to in...

SHANE AMIR MUAAWIYA 27OUR28

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 MUHARRAM 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖         *☆SHAANE AMIR MUAAWIYA...C☆* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ *```➡Post-27```* 🔻Aap sakhaawat mein mumtaaz hai..( sabse alag )... Logon ko khoob nawaazte the... Khaas kar Imaame Hasan ki khidmat me qiimti nazraane pesh karte the..       Mulla Ali Qaari...Sharhe Mishkaat me Hazrat Abdullah se riwaayat karte hai...Aik baar Imaame Hasan Aap k paas tashrif le gaye to Aapne arz ki...         Mein Aapki khidmat me itni nazar pesh karunga k isse pehle kisiko itni nazar nahi di hai...Or na kabhi kisi dusre ko dunga...fir Aapne 4 laakh dirham Imaame Hasan ki baargah me nazar kiye....          SUBHAANALLAAH 🔻Allaama Muhammed bin Muhammed...likhte hai...Aik baar Aapne majlis k haazriin se kaha...Jo bhi Hazrat Ali ki Taarif or Shaan me sher ( shaayri ) kahega to Mein har sher par 1 laakh diinaar dunga..( 1 diinaar us dor mein 4 gram sone ( gold..sunna ) k wazan se zyada ka hot...

SHAANE AMIR MUAAWIYA 25OUR26

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 MUHARRAM 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖        *☆SHAANE AMIIR MUAAWIYA...A☆* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ *```➡Post-25```* 🔻Hazrat Ahmed yaar khan naiimi...alayhirrehmah...farmate hai...Amir Muaaviya khaas Suleh Hudaibiya k din 6 hijri mein imaan laaye...magar makke waalon k khauf se apna islaam chupa rakkha fir Fathe Makka k din apna islaam zaahir farmaya... 🔻Aap Sahaabiye Rasul hain...or sahaabi wo khush nasiib musalmaan hai k jisne iimaan ki haalat me Huzur ko dekha ya sohbat payi or fir iimaan par uska khaatma huwa ho..       Or sahaabiyat wo rutba hai k koi bhi chaahe kitna hi bada Wali or Ghaus O Qutub ho....kisi sahaabi k rutbe ko hargiz pohonch nahi sakta..       Mafume Ahaadis... 🔻Mere sahaaba ki izzat karo isliye k wo tum sab se behtar hai.. 🔻Mere sahaaba ko gaali na do or na unko bura bhala kaho..jo unko gaali de or bura bhala kahe us par Allah ki Laanat ho... 🔻Jab tum un logon ko dekho jo Mere sahaaba ko gaaliyan dete hon ...

TAAZIME AHELE BAIT 23OUR24

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴  *🥀 MUHARRAM 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖                *TAAZIME AHLE BAIT...D* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖  *```➡Post-23```* 🔻Siyedi Abdul wahhaab sheraani...alayhirrehmah...farmate hai...k..kaashiful bahirah...ne aik siyed ko mara to usi raat khwaab mein use Aaqa ki ziyaarat hui k Aaqa usse naaraaz hai..usne arz ki...Ya Rasulallaah Mera kya gunah hai..?       Farmaya...Tu Muje maarta hai jab k Mein qayaamat k din tera Shafie hun...usne arz ki...muje yaad nahi k mene aapko maara ho...Aapne farmaya...Kya tune Meri awlaad ko nahi mara..?...usne arz ki...Haan...        Farmaya... Teri zarb ( maar ) Meri kalaai par lagti hai...fir Aapne Apni kalaai khol kar dikhaai...jis par waram tha jayse shahad ki makkhi ne dank maara ho...           ....ALLAHUAKBAR.... 🔻Hazrat Shamsuddin...bayaan karte hai k...Aik din Qaazi jamaaluddin mahmood ajami ki khidmat me haazir huwa jo Qaherah k governor t...

TAAZIME AHELE BAIT 21our22

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 MUHARRAM 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖              *TAAZIME AHLE BAIT...B* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖  *```➡Post-21```* 🔻Shaikh Akbar Siyed Muhiyuddin ibne Arabi...farmate hai... Mein hajj k iraade se 500 dinaar lekar zaruriyaat ka saamaan kharidne k liye bazaar mein nikla k aik awrat mere saamne aagayi or boli.....       Allah tum par rahem farmaye Mein siyed zaadi hun Meri bachchiyon k liye tan dhaankne ka kapda nahi or aaj chotha din hai k Meine kuch khaya nahi...        Us siyedzaadi ki baat mere dil me utar gayi or wo 500 dinaar unki jholi mein daal kar kaha Aap ghar jaayein or isse apni zururiyaat puri kar lein...      Meine Allah ka shukr ada kiya k aik siyedzaadi ki khidmat ka sharaf bakhsha...me kayin saal hajj kar chuka tha..sab log hajj ko chale gaye or hajj kar k aagaye......       Mene socha chalo doston se mulaqaat kar lun or mubaarak baad arz karun....jis dost se milta w...

AHELE BAIT PAHELE JANNAT MEIN 19OUR20

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 MUHARRAM 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖      *AHLE BAIT PEHLE JANNAT MEIN* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ *```➡Post-19```* 🔻Aaqa...sallallaahu alayhi waaalihi wasallam...farmate hai...       Mafhume Ahaadis... 🔻Sitaare aasmaan walon k liye aman ka sabab hai or Mere Ahlebait zamiin walon k liye aman ka sabab hai...Mere Ahlebait ummat k liye aman ka sabab hai. 🔻Jo shakhs wasila haasil karna chaahta hai or ye chaahta hai k Meri baargaah me uski koi khidmat ho jis k sabab Mein qayamat k din uski shafa-at karun...To...Use chahiye k mere Ahlebait ki khidmat kare or unhein khush karein. 🔻Jo bhi is baat ko pasand karta ho k uski umar lambi ho uski aarzuein puri ho to use Mere baad Mere Ahlebait se achchi tarah pesh aana chaahiye..       Or jo Mere baad unse achchi tarah pesh nahi aayega uski umar khatm kar di jayegi or qayaamat k din is haalat me Mere paas aayega k uska chehra kala ho jaayega. 🔸AalaHazrat..alyhirrehmah...       arz karte h...

SAYEDA FATIMA KI FAZILAT 17OUR18

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 MUHARRAM 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖         *SIYEDA FAATEMA KI FAZILAT* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖  *➡Post-17* 🔻Aaqa...sallallaahu alayhi waaalihi wasallam...farmate hai...       Mafhume Ahaadis... 🔻Faatema Mere gosht ka aik tukda hai...jisne use naaraaz kiya usne Muje naaraaz kiya... 🔻Jo chiiz Faatema ko naaraaz karti hai wo Muj ko bhi naaraaz karti hai... Or jo chiiz Fatema ko takliif deti hai wo Mujh ko bhi takliif deti hai... 🔻To jisne Imaame Hasan ko zehar diya Or jin logon ne Imaame Husen ko karbala k registaan me Shahid kiya....       Beshak un logon ne Faatema ko or Huzur ko takliif di or Huzur ko takliif dena Allah ko takliif dena hai..       Or Allah O Rasool ko takliif dene waale par dunya or aakhirat me Allah ki laanat hai...       Quraan me Allah irshad farmata hai... Beshak jo log Allah Or us k Rasool ko aziyat dete hain dunya wa aakhirat mein un logon par Allah ki laanat hai or un k li...

SHANE IMAAME HASAN 15OUR16

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴 *🥀 MUHARRAM 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖          *SHAANE IMAAME HASAN...B* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖  *```➡Post-15```* 🔻Ibne Abbaas farmate hai...Aik bar Rasulullah imaame Hasan ko apne kandhe par bithaae huwe the...       Kisi sahabi ne kaha... Aey sahabzaade teri sawaari bohot achchi hai....To Aaqa ne farmaya... Sawaar bhi to achcha hai.. ...SUBHANALLAH... 🔻Imaame Hasan ne baghair sawaari k chalkar 25 hajj kiye...jab k behtariin nasal k uunt ( camel ) aap k sath hote the lekin aap un par sawaar nahi hote the or paydal chal kar hajj karte the. 🔻Aap sakhaawat ( khayraat ) karne me be misaal the..kabhi aysa bhi huwa k aik aik aadmi ko aik aik laakh dirham ataa farma dete the...      Imaame Hasan ne 3 baar aadha aadha maal Allah ki raah mein de diya or 2 baar apna pura maal Allah k raaste me kharch kar diya. ...sallallahu alayhi wasallam.... ...Radiyallahu Alayhim Ajmiin... *📚TAARIKHUL KHULFA...* *KHUTBAATE MUHARRAM...* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖...

AHELE BAIT KI KHUSUSIYAT 13OUR14

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴  *🥀 MUHARRAM 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖        *AHLE BAIT KI KHUSUSIYAT...A* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖ *➡Post-13* 🔻Aaqa...sallallaahu alayhi waaalihi wasallam...farmate hai...       Mafhume Ahaadis... 🔻Allah taala ne Hazrat Ismaail..alayhissalaam...ki awlaad mese qabilae Kanaana ko pasand kiya...  ★ Kanaana se Quraish ko...  ★ Quraish se Bani Haashim ko...  ★ Bani Hashim mese Muje Muntakhab ( pasand ) farmaya. 🔻Hazrate Jibraiil...alayhissalaam...ne Mujse kaha...k mene zamiin k mashriq O maghrib ko ulat dale ( dekh liye ) lekin mene MUHAMMED...sallallahu alayhi waalihi wasallam...se afzal kisiko na paaya... 🔻Qayaamat k din Mein apni ummat mein sabse pehle apne Ahle bait ki shafa-at karunga fir dusre logon ki...Or Mein jiski pehle shafaat karunga wo zyada fazilat wala hai..        Is se saabit huwa k Huzur k Ahlebait hasab nasab me sabse afzal o aala hai... 🔻SUBHAANALLAAH kya shaan hai *📚TIBRAANI...* *BARAKAATE...

SHANE AHELE BAIT 11 OUR 12

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴  *🥀 MUHARRAM 🥀* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖                *SHAANE AHLE BAIT...B* ➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖  *➡Post-11* 🔻Aaqa...sallallaahu alayhi waaalihi wasallam...farmate hai...        Mafhume Ahaadis... 🔻Jb abu lahab ki beti ( imaanwaali ) makke sharif se hijrat kar k madine sharif mein aayin to kuch logon ne unse kaha tumhari hijrat tumko kuch kaam na degi isliye k tum jahnnami ki beti ho...       Ye baat unhone Huzur se bayan ki to...Aaqa bohot naaraaz huwe fir mimbar par jalwagar hokar farmaya...Un logon ka kya haal hai jo Muje Mere nasab or rishte daaron k baare mein takliif dete hain...       Khabardaar jisne Mere nasab or riste daaron ko taklif di usne Muje taklif di or jisne Muje taklif di usne Allah ko taklif di... 🔻Agar koi haram sarif k aik kone or maqaame Ibraahim k biich me namaaz padhe or roze rakkhe fir wo Mere Ahlebait ki dushmani me mare to wo jahannam me jaayega.. ▪Allhu...