TAAZIME AHELE BAIT 21our22
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 MUHARRAM 🥀*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*TAAZIME AHLE BAIT...B*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*```➡Post-21```*
🔻Shaikh Akbar Siyed Muhiyuddin ibne Arabi...farmate hai... Mein hajj k iraade se 500 dinaar lekar zaruriyaat ka saamaan kharidne k liye bazaar mein nikla k aik awrat mere saamne aagayi or boli.....
Allah tum par rahem farmaye Mein siyed zaadi hun Meri bachchiyon k liye tan dhaankne ka kapda nahi or aaj chotha din hai k Meine kuch khaya nahi...
Us siyedzaadi ki baat mere dil me utar gayi or wo 500 dinaar unki jholi mein daal kar kaha Aap ghar jaayein or isse apni zururiyaat puri kar lein...
Meine Allah ka shukr ada kiya k aik siyedzaadi ki khidmat ka sharaf bakhsha...me kayin saal hajj kar chuka tha..sab log hajj ko chale gaye or hajj kar k aagaye......
Mene socha chalo doston se mulaqaat kar lun or mubaarak baad arz karun....jis dost se milta wo mujse kehta Allah tumhara hajj qubul kare..muje hairat hui k muje kyun mubaarak kar rahe hain......jab raat me soya to meri qismat jaagi or..
Huzur ka didaar huwa...or farmaya... Aey muhiyuddin logon ki hajj mubaarak ki baat par taajjub na kar...Tune Meri kamzor beti ki madad ki to Mene Allah se dua ki to Allah ne aik farishta teri shakal ka paida farmaya jo qayamat tak teri taraf se har saal hajj karta rahega...
SUBHANALLAH..ALLAHUAKBAR
Sallahu alayhi wasallam...
*📚BARAKAATE AALE RASOOL...*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*TAAZIME AHLE BAIT...C*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*```➡Post-22```*
🔻Balkh me aik Alwi tha uski biwi or kuch betiyaan thi...uska intiqaal ho gaya...uski biwi kehti hai k Dushmano k khauf se mein samarqand chali gayi us waqt sardi ( thandi ) ka mosam tha..apni betiyon ko masjid mein pohnchaa kar mein khaane k intizaam k liye nikli..
Mene dekha aik maaldaar k aaspaas kuch log jama hai.....logon ko puchne par pata chala k sheher ka maaldaar hai.....
Mene use apna haal sunaya to kehne laga k tum Alwi ho is baat ki gawahi pesh karo....or meri taraf koi tawajje nahi di.....mein masjid waapas lot rahi thi k aik budhe par nazar padi jis k aaspaas log jama the...pata chala k ye majusi ( paarsi ) sheher ka muhafiz hai....
Mein us k paas pohnchi..saara haal usse kaha to madad ko taiyaar ho gaya..apne gulam ko bulaya or apni biwi ko bulwaya...jab wo aa gayi to use mere saath masjid bheja k in k saath jaakar inki betiyon ko le aao..
Us majusi ne apne makaan k alag hisse me mere rehne ka intizaam kiya or tarah tarah k khaane khilaaye...kapde pehnaaye..
Jab aadhi raat hui to us musalmaan maaldaar ne khwaab dekha k Qayamat qaem ho gayi hai...or...
Sarkaar jalwagar hai...jab ye qariib gaya to Aaqa ne koi tawajje na di..... Arz ki...Ya Raslallah mein musalmaan hun... Farmaya...Apne musalman hone ki gawahi pesh kar...Wo hairat me pad gaya....
Aaqa...ne farmaya... Tune us Alwi awrat se yahi kaha tha bhul gaya... Ye mehel jo tum dekh rahe ho usi shaikh ka hai jis k ghar mein wo Alwi awrat hai...
Wo maaldaar rote huwe nind se utha or apne munh par thapdein maarne laga k mujse ye kya ho gaya...apne nokron ko doudaa diya k us Alwi awrat ko talaash karo...use pataa chala k wo majoosi k yahan hai...
Wo majoosi k paas gaya or kaha k wo Alwi awrat ko mere yahan bhej do...Us budhe ne kaha k aysa nahi ho sakta.....Us maaldaar ne kaha k 1000 dinaar lelo use mere yahan bhej do...
Us shaikh ne inkaar kiya or kaha...Khuda ki qasam agar tum 1 laakh dinaar do tab bhi nahi bhejunga...Fir kaha k...Jo khwaab tumne dekha mene bhi dekha hai or jo mehel tumne dekha mene bhi dekha or waaqii wo mehel mera hai...Or tum isliye fakhr karte ho k tum musalmaan ho..!..
Bakhuda wo Alwi khatoon jayse hi hamaare ghar aayi ham sab un k haath par musalmaan ho gaye or unki barkatein hamko haasil ho chuki hai..
Muje khwaab me Aaqa ki ziyarat hui to farmaya... Tumne Alwi khatoon ki taazim ki takrim ki isliye ye mehel tumhare or tumhare ghar waalon k liye hai or tum jannati ho....
SUBHANALLAH....ALLHUAKBAR...
...sallallahu alayhi wasallam
...Rahmatullahi Alyhim Ajmaiin
*📚MASHAARIQUL ANWAAR...*
*BARAKAATE AALE RASOOL...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें