AHELE BAIT KI KHUSUSIYAT 13OUR14
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 MUHARRAM 🥀*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*AHLE BAIT KI KHUSUSIYAT...A*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*➡Post-13*
🔻Aaqa...sallallaahu alayhi waaalihi wasallam...farmate hai...
Mafhume Ahaadis...
🔻Allah taala ne Hazrat Ismaail..alayhissalaam...ki awlaad mese qabilae Kanaana ko pasand kiya...
★ Kanaana se Quraish ko...
★ Quraish se Bani Haashim ko...
★ Bani Hashim mese Muje Muntakhab ( pasand ) farmaya.
🔻Hazrate Jibraiil...alayhissalaam...ne Mujse kaha...k mene zamiin k mashriq O maghrib ko ulat dale ( dekh liye ) lekin mene MUHAMMED...sallallahu alayhi waalihi wasallam...se afzal kisiko na paaya...
🔻Qayaamat k din Mein apni ummat mein sabse pehle apne Ahle bait ki shafa-at karunga fir dusre logon ki...Or Mein jiski pehle shafaat karunga wo zyada fazilat wala hai..
Is se saabit huwa k Huzur k Ahlebait hasab nasab me sabse afzal o aala hai...
🔻SUBHAANALLAAH kya shaan hai
*📚TIBRAANI...*
*BARAKAATE AALE RASOOL...*
*AL-SHARFUL-MUAIYAD...*
*KHUTBAATE MUharram*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*AHLE BAIT KI KHUSUSIYAT...B*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*➡Post-14*
🔹Aik waswase ka jawaab..
🔻Aaqa...sallallaahu alayhi waaalihi wasallam...farmate hai...
Mafhume Ahaadis...
🔻Mein tumhein Allah k azaab se bacha nahi sakta...( apni fufi se )
🔻Aey Faatema binte Muhammed...alayhissalaam...Mere maal mein jo chaaho maang lo lekin Allah k azaab or us ki pakad ho to Mein tumhein koi faayda nahi pohncha sakta..( apni beti se )
Ye hadison k mafhum ye niklta hai K Qayaamat me agar tumhari pakad ho gayi to Meri rishtedaari kuch kaam na aayegi...
▪Ye waswasa aa sakta hai k...Jab ghar waalon k kaam na aayegi to dusron k kaam kayse aayegi...
....MAAAZALLAAH....
🔹Is ka jawab Hazrat Shaikh Muhaddis Dehelwi...alayhirrehmah...dete huwe kehte hai k...
Huzur ka ye farmana Allah se daraane or khauf delane k liye hai...
Isliye k Ahle bait ki fazilat O buzurgi...un k liye Aaqa ki shafaat or unka jannati hona Ahaadise Sahihaa se saabit hai...
🔻Allama ibne Hajar makki...alayhirrehmah...farmate hai k... Tamam logon par aam tor par or Ahlebait par khaas tor se chand kaam ka ahtimaam ( karna ) laazim..zaruri hai....
🔹Dini ilm hasil karna... isliye k is k baghair nasab ka kaamil fayda nahi....
🔹Baap dada par fakhar kare or un par bharosa jata kar taqwa parhezgaari se mehrum na rahein.....isliye k Allah ne Quraan me farmaya...k..
Tumme se baargaahe Ilaahi me zyada muazzaz wo hai jo zyada muttaqi ho......
Haqiqat yahi hai k Aaqa k Ahlebait ka bohot aala maqaam hai...Allah se dua hai k hamein unse waabasta rakkhe or unki khidmat kar k faiz O dua lene ki tofiq ataa farmaaye.
.....AAMIIN.....
*📚MISHKAAT...*
*ASHI-ATUL-LAM-AAT...*
*BARAKAATE AALE RASOOL...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*
*Join Barelvi*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें