IMAME HUSAIN MADINE SE RUKHSAT 41OUR42

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴






 *🥀 MUHARRAM 🥀*





➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 *IMAME HUSEN MADINE SE RUKHSAT*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*```▶Post-41```*

🔻Allah k Nabi ka wisaal madina e munav-varah mein huwa..isse pata chala k saare shehron mein Aapko madina sab se pyara hai..or isi wajeh se Imaame Husen ko bhi bohot pyara tha...magar haalaat ne aapko ye pyara sheher chhodne par majboor kar diya..safar ki taiyari mukammal ( complete ) ho gayi to Imaame Husen aakhri salaam arz karne k liye apne naana jaan hamare Aaqa Muhammadur Rasulullah ki baargaah mein haazir huwe....
🔻Hamare Aaqa Imaame Husen k Naana jaan ne aapki parwarish apni aaghoshe rehmat O mohobbat mein kii thi...us waqt roza e anwar mein Aaqa ka kya haal huwa hoga...ye soch kar hi ahle mohobbat k dil laraz jaate hai.
🔻Ye din kitne ranj O gham ka din tha k Jigar gosha e Rasool...Farzande Ali O Batool...jinka sab kuch madine mein hai...magar aaj wo madine se hamesha k liye jaa rahe hai.
🔻Imaame Aali maqaam apne Naana ko aakhri..alwadaai salaam keh kar rote huwe waapas huwe or dubte huwe dil k saath madina e munawwara par hasrat bhari nigaah daalte huwe makke sharif ki taraf rawaana ho gaye...Ye waqea 4 shaabaan..Hijri 60 ka hai.

...Sallallahu alayhi wasallam...
...Radillahu taala anhu...

*📚KHUTBAATE MUHARRAM..*

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
      ```IMAAME HUSEN MAKKAH MEIN 
         KUCH KOOFA K BAARE MEIN```
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*```▶Post-42```*

🔻Jab Imaame Husen makka e muazzama pohonch gaye or logon ko pata chala to log joq dar joq ( in groups ) aapki khidmat mein aapki ziyaarat karne k liye aane lage..
      Aap makka e muazzama mein panah guzinh ( refugee ) ki tarah rahe...Na yaziid k khilaaf kisi se bay-at lii...or na apni muafiqat ( tarafdaari ) mein koi lashkari taaqat ki taiyaari ki.
🔻Koofa sheher ki buniyaad ( foundation ) us waqt padi jab hijri 14 se 16...tak Qaadsiya ( name of city ) or us k aas-paas k ilaaqe musalmano ki hukumat mein shaamil huwe or muslim fauj ( army ) ne Iraaq me mustaqil sukoonat ( permenent settelment...hamesha ki waswaat ) ikhtiyaar kii...to sahaabiye Rasool Hazrate Saad bin Waqaas k hukm se ye koofa sheher taamir kiya gaya.
🔻Hazrate Ali k zamaane hi se koofa mein aapko chaahne waalon ka markaz tha...koofa k logo ne Amiir Muaaviya k dore-khilafat mein hi Imaame Husen se koofa aane k khutoot ( letters ) bhej chuke the...magar aapne saaf inkaar kar diya tha.

...karramallahu wajhahul karim...
...radiyallahu alayhim ajmaiin...

*📚KHUTBAATE MUHARRAM...*




👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

हुज़ूर ﷺ ने इमाम हुसैन رضی اللہ عنہ पर किसको कुर्बान किया है*05

मुहर्रम उल हराम में ब्याह शादी करना कैसा है* 02

आशूरा के दिन नेक काम करना कैसा* 09