IMAAM SE MUQABLE KE LIYE 20000 53OUR54

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴






*🥀 MUHARRAM 🥀*




➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
  ```IMAAM SE MUKQABLE k liye 20,000```
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*```▶Post-53```*

🔻Jab Imaame Husen Nainwa k qarib pohnche to ibne ziyaad ka qaasid khat lekar aa gaya k Husen ko aage badhne se rok kar or chatiyal maidan me aysi jaga rok do jahan paani na ho...
        Or khat laanewale ko hukm tha k wahin ruk kar report dete raho k hukm par amal hota hai k nahi... Hur ne Aapko khat dikhaya...khat dekh kar Aap k saathiyon ne kaha... Ya Siyedi inse jang kar lena aasaan hai isse pehle k dusri fauj ( army ) or aajaaye...Magar Aapne Apni taraf se shuruaat nahi ki...Hur khaamosh raha...kuch duur or chale k Hur k sipahiyon ne hukm diya k bas yahin utar jayein...Furaat yahan se duur nahi...
🔻Aapne puucha k kya naam hai is jaga ka..?...Jawab diya gaya..Karbala naam hai...Iska naam sunte hi ghode se utar pade or farmaya... 
      YE KARBALA HAI...KARB O BALA ( dukh or musiibat )...
 ★ YAHIN HAMAARE UUNTON K BETHNE KI JAGA HAI...
 ★ YAHIN HAMAARE MAAL O ASBAAB UTRENGE...
 ★ ISI JAGA PAR HAMAARE SAATHI QATAL KIYE JAYENGE.... 
 ★ Ye muhaaram ki 2 taariik jumeraat ka din tha...Jab Hur ne Aapko karbala me utarne par mjboor kar diya to ibne ziyaad ko khabar kar di..ibne ziyaad ne ibne saad ko 4000 fauj k saath bhej diya...Or fir fojiyon ki tadaad badhti rahi yahan tak k 22,000 tak pohonch gayi...
▪KITNE TAJJUB KI BAAT HAI....AIK TARAF 82 NUFUS E QUDSIYA...JINME OURTEIN OR BACHCHE BHI.......OR...HATHIYAAR BHI NAHI...OR...
 ★ DUSRI TARAF 22000...
      ALLAHUAKBAR.
🔻Magar Ali k sheron ka aysa dabdaba tha k jaante the k agar ye ladne pe aa jaayein to 10 guna nahi ham 100 guna se zyada honge to bhi ham kamzor pad jayenge...isliye 200 guna se bhi zyada faujiyon ko jama kar liya ( zankhe...darpok ) is k baawajud darte the isliye 500 fojiyon ko dariyae furaat par bhej diya k Imaame Husen k khemon me paani ki aik bund bhi na jaaye...

...Karramallahu wajhahul kariim...
...Radiyallahu taala anh...

*📚TAARIIKHE TIBRI*
*KHUTBAATE MUHARRAM.*

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
 ```IMAAME HUSEN SE BAY-AT MANGNA```
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*```▶Post-54```*

🔻Ibne ziyaad ne ibne saad ko likha k Husen se bay-at ka mutaalba karo... Imaame Husen ne ibne saad se mulaqat ka iraade ka izhaar kiya...dono ki mulaqaat hui..
     Aapne ibne saad se kaha... 
   🔸Muje koofa waalon ne bulaya to Mein aaya..
   🔸Mera yahan aana hukumat ko pasand nahi to jahan se aaya hun muje wahin chale jaane do....
   🔸Ya kisi border k ilaaqe mein le chalo Mein apni zindagi wahin guzaar dunga...
   🔸Ya Muje siidha yaziid k paas damishq jaane do or tum chaaho to Mere saath raho...K Mein yaziid se direct baat kar sakun...
         Aapka ye rawaiya dekh kar ibne saad bhi narm pad gaya.. ( darasal ye ibne saad jiska naam umar ibne saad tha Sahaabi e Rasool Hazrate Saad ibne waqaas ka beta tha isliye Imaame Husen k rutbe se waaqif tha ye Aap k muqable par aane k liye taiyaar hi na tha...ibne ziyaad ne dhamki di k agar Imaam ka muqaabla nahi karna ho to Ray sheher ki hukumat chhod do... 
      Bas kursi ki laalach ne ibne saad ko andha kar diya or Imaam k muqaable k liye taiyaar ho gaya... Harate Saad un 10 sahaaba mese the jinko Aaqa ne dunya mein hi jannat ki basharat de di thi... Allahu akbar... )...

...Sallallahu alayhi wasallam...
...Ridwaanullahi taala
     anhum ajmaiin...

*📚TAARIKHE TIBRI...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*




👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

हुज़ूर ﷺ ने इमाम हुसैन رضی اللہ عنہ पर किसको कुर्बान किया है*05

मुहर्रम उल हराम में ब्याह शादी करना कैसा है* 02

आशूरा के दिन नेक काम करना कैसा* 09