SAYEDA FATIMA KI FAZILAT 17OUR18
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 MUHARRAM 🥀*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*SIYEDA FAATEMA KI FAZILAT*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*➡Post-17*
🔻Aaqa...sallallaahu alayhi waaalihi wasallam...farmate hai...
Mafhume Ahaadis...
🔻Faatema Mere gosht ka aik tukda hai...jisne use naaraaz kiya usne Muje naaraaz kiya...
🔻Jo chiiz Faatema ko naaraaz karti hai wo Muj ko bhi naaraaz karti hai...
Or jo chiiz Fatema ko takliif deti hai wo Mujh ko bhi takliif deti hai...
🔻To jisne Imaame Hasan ko zehar diya Or jin logon ne Imaame Husen ko karbala k registaan me Shahid kiya....
Beshak un logon ne Faatema ko or Huzur ko takliif di or Huzur ko takliif dena Allah ko takliif dena hai..
Or Allah O Rasool ko takliif dene waale par dunya or aakhirat me Allah ki laanat hai...
Quraan me Allah irshad farmata hai... Beshak jo log Allah Or us k Rasool ko aziyat dete hain dunya wa aakhirat mein un logon par Allah ki laanat hai or un k liye zillat ka azaab tayyaar kar rakkha hai...( mafhum )
▪Allah apne fazl se ham sabko ayse har kaam se apni panaah me rakkhe jo uski naaraazgi ka sabab ho...
Or apne mehbub bandon or bandiyon ki bargaah ka adab karnewala banaye....
.....AAMIIN.....
*📚QURAAN SHARIF..*
*Para..22..Ruku..4..*
*MISHKAAT...*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*HAR HAAL ME TAAZIIM WAAJIB*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*➡Post-18*
🔹Siyed har haal me waajibut taaziim hai.
🔻Aaqa...sallallaahu alayhi waaalihi wasallam...farmate hai...
Mafhume Hadis...
🔻Beshak Faatema ne apni paak daamani ki hifaazat ki to Allah taala ne unhein or unki awlaad ko jahannam par haraam farma diya.
🔻Shezaada e Imaam AhmedRaza Sarkaar Mufti Aazam hind Molana Mustafa Raza...rehmatullahi alayhim ajmaiin...farmate hai.... Siyed se jab tak kufr na saadir ho ( koi aysa kaam jise karnewala kaafir ho jaaye ) Siyed WAAJIBUT taaziim hai...
Or ye isliye hai k unka gunaah maaf ho jayega or Allah unki ghaltiyon se darguzar farmayega.... Is tarah k unhein mot se pehle tauba ki tofiq ata farmayega...
Quraan me Allah irshad farmata hai.... Aey Ahlebait Allah to yahi chaahta hai k tum se har naapaaki duur farma de or tumhein ( har qism k gunahon se ) paak kar k khoob suthra karde.
🔻Hazrat Abu Muhammed faasi...alayhirrehmah...farmate hai.... Mein kuch siyedon se un k gunah dekh kar bughz ( kiina..dushmani ) rakhta tha...
Aik din muje Aaqa ka diidaar huwa...Huzur ne mujse pucha k... Kya baat hai hamaari awlaad se bughz kyun rakhte ho...?
Mene arz ki.....Ya Rasulallaah khuda ki qasam me unko naapasand nahi karta un k amal pasand nahi karta...
Aaqa ne farmaya... Ye fiqhi masala nahi hai k naafarmaan awlaad nasab se waabasta rehti hai..?
Mene arz ki..Haan...
To Farmaya...Ye naafarmaan awlaad hai.....Wo kehte hai k jab me jaaga to mere dil se unki dushmani duur ho chuki thi....
Allahuakbar...matlab agar koi siyed be amal hai bhi to wo Unki awlaad to hai hi is liye gunahgaar SIYED bhi WAAJIBUT TAAZIIM hai.
...Sallallahu alayhi wasallam
...Radiyallahu alahim ajmaiin
*📚QURAANE PAAK...*
*Para..22..Ruku..1*
*AL SHARFUL MUAIYAD...*
*HUJJATE DAAHIRA...*
*BARAKAATE AALE RASOOL...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें