SHANE UMAR FARUQ RadiALLAHu anh 03OR 04
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 MUHARRAM 🥀*
*SHANE UMAR FARUQ radiyallahu anh*
*➡Post-03
🔻Aaqa...sallallaahu alayhi waaalihi wasallam...farmate hai...
Mafhume Ahaadis...
🔻Agar mere baad Nabi hote to Umar hote...
( beshak Huzur...alayhissalaam...aakhri Nabi hai )
🔻Beshak Mein nigaahe nubuuwat se dekh raha hun k jinnaaton k or insaanon k dono k shayaatiin Mere Umar k khauf se bhaagte hain.
🔻Umar Mujse hai Or Mein Umar se hun... Or Umar jis jagah bhi hote hain Haq un k saath hota hai.
🔻Mein so raha tha k khwaab dekha k log Mere saamne laaye jaa rahe hain or dikhaye jaa rahe hain...wo sab kurte pehne huwe the ...jinme kuch k kurte siinon tak...kuch k usse niiche...fir Umar ko laaya gaya or unka kurta itna lamba tha k zamiin se ghisat raha tha....
Logon ne arz ki... Iska kya matlab hai... Farmaya... Din ( matlab diindaari or taqwe mein bohot badhe huwe )
🔻Allah ne Umar ki Zabaan or Dil par Haq ko jaari farma diya ( matlab aap hamesha sachchaai par hi rahenge ).
🔻Jisne Umar se dushmani ki usne mujse dushmani ki Or jisne Umar se muhabbat ki usne mujse muhabbat ki..
🔹Ye hai kuch hadisein Hazrat Umar...radiyallahu taala anh...ki shaan me hai...
Is k ilawa be shumaar waaqeaat jisse aapki azmat o buzurgi ka pata chalta hai...
*📚MISHKAAT..*
*TAARIKHUL KHULFA...*
*MADAARIJUN NUBUWAH...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*SHANE USMAN GHANI radiyallah anh*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*➡Post-04
🔻Aaqa...sallallaahu alayhi waaalihi wasallam....ne farmaya...
Mafhume Ahaadis...
🔻Siyeda Aaisha...radiyallahu taala anh...farmati hai...
Aik bar Hamare Aaqa lete huwe the aapki pindli mubaarak ( takhne or ghutne k biich ka hissa ) se kapda hata huwa tha k itne mein Hazrate Abubakr dare aqdas par haazir huwe
Aaqa ne unhein ijaazat di...wo tashrif le aaye Huzur ayse hi bethe rahe...
Is k baad Hazrate Umar haazir huwe Hamare Aaqa ne ijaazat di..wo bhi tashrif farma huwe...Huzur ayse hi bethe rahe...
Kuch der k bad Hazrate Usmaan haazir huwe ijaazat chaahi...To Huzur uth kar beth gaye or kapdon ko baraabar kiya fir ijaazat di...
🔻Siyeda Aaisha..farmati hai k jab sab chale gaye to mene arz ki... Ya Rasulallah kya sabab hai k mere Abba jaan or Hazrat Umar aaye to aap lete rahe or Harat Usmaan aaye to aap uth gaye kapde baraabar kiye...?
Aaqa ne farmaya... Kya mein us shakhs se sharm O haya na karun k jisse farishte bhi haya karte hai...?
....SUBHAANALLAAH....
🔻Hazrate Anas...farmate hai k jab maqaame hudaibiya mein Rasulullah ne bay-ate ridwaan ka hukm farmaya us waqt Hazrat Usmaan qaasid ki hasiyat se makke sharif gaye huwe the.
Tamaam logon ne Huzur k haathon par bayat ki jab sab kar chuke..to.. Hamare Aaqa ne farmaya...k... Usmaan Allah or us k Rasool k kaam se gaye huwe hain...fir apna aik haath dusre par rakh kar Hazrate Usmaan ki taraf se khud bay-at ki..
Lihaza jinhone apne haath se bayat ki un haathon se Huzur ka Haath Hazrate Usman k liye behtar hai...
.....SUBHANALLAAH
🔻Madine sharif mein romaa naam ka aik hi mithe paani ka koowa tha jo basti se 4 km ki doori par tha or us kuwe ka maalik yahudi tha jo iska paani bechta tha or musalmano ko paani ki sakht taklif thi..
Pyare Aaqa ki targhib par Hazrat Usmaan ne aadha koowa 12000 hazaar dirham me khariid kar musalmano par waqf kar diya or ye nakki huwa k aik din musalman paani bharenge or aik din yahudi bechega...
Jab yahudi ne dekha k musalmano ki baari k din wo 2 din ka paani bhar lete hai or uska paani bikta nahi to aajiz aakar baaki aadha bhi Hazrate Usmaan ko 8000 hazaar dirham me bech diya... Ye koowa aaj bhi hai or isko Biire-Usmaan kehte hain...
.....SUBHAANALLAAH....
Ayse sakhaawat k bohot saare waaqeaat aapki muqaddas zaat se wabasta hai....
Aik khaas badi sa-adat jo aapki khususiyat hai...k aap k nikah me Hamare Aaqa ki 2 betiyan aik k baad aik gayi isliye aapko ZUNNUURAIN ka laqab mila...( matlab 2 noorwale )...
... Sallallahu alayhi wasallam
... Ridwanullahi alayhim ajmaiin
... Radiyallahu taala anhaa
*📚TIRMIZI..MUSLIM...*
*AL MUSTADRAK...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें