KUCH YAZID PALID KE BARE MEIN 37OUR38
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 MUHARRAM 🥀*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*KUCH YAZID PALID K BARE MEIN...A*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*```▶Post-37```*
🔻Yaziid Amiir Muaaviya...radiyaalahu anhu..ka beta tha..jiski kunniyat abu khaalid hai..Umaiya khaandaan ka ye wo badbakht insaan tha k jisne Nawaasae Rasool..jigar gosha e batool Siyeduna Imaame Husen k khoon se apne haath range...
🔻Or isi wajeh se har zamaane mein log us par malaamat karte rahe or rehti duniya tak log us kamiine par malaamat karte rahenge..ye bad baatin 25 wi Hijri mein payda huwa...
🔻Yazid bohot mota..
★ badnuma.....★ bad khalq..
★ faasiq...........★ faajir..
★ sharaabi......★ badkaar..
★ zaalim..........★ be adab or gustaakh tha...iski bad kaariyan saari hadon ko paar kar gayi thi...
🔻Hazrate Hanzala ( ghasiilul malaaika ) k bete kehte hain k..yaziid par hamne us waqt hamle ki taiyaari kii jab ham logon ko dar huwa k iski buraaiyon ki wajeh se kahin ham par aasmaan se azaab na aa jaaye..iski fisq O fujoor ka ye aalam tha k log apni maa-behno or betiyon se nikah kar rahe the..
Ridyallaho anhum ajmaiin
*📚TAARIKHUL KHULFA...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*KUCH YAZIID PALID K BARE MEIN...B*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*```▶Post-38```*
🔹Huzur...sallallahu alayhi wa aalihi wasallam...ne farmaya...
Mafhume Ahadis...
🔻Meri sunnat ka pehla badalne waala aik shakhs bani umaiya ka hoga jiska naam yaziid hoga.
🔻Meri ummat hamesha adal O insaaf par qaaem rahegi yahan tak k pehla rakhna andaaz bani umaiya ka aik shakhs hoga jiska naam yaziid hoga.
🔻Hazrat Umar bin Abdul Aziz umaiya khandan k hi aik fard hai....Marwaan k pote or khalifa Abdul Malik bin Marwaan k daamaad hain jin k fazl O kamaal or taqwa parhezgaari k baare mein sirf itna bata dena kaafi hai k unko khulfa e Raashudin mein gina jata hai...
Unhone khud us shakhs ko k jisne yaziid badbakhat ko Amirul mominiin kaha to use kode ( hanter ) lagwaaye or saza di...
Isse wo log jo aajkal yaziid ki himaayat karte hai or usko amirul mominiin kehte hai sabaq lein or samaj lein k wo khud saza k haqdaar hain...
Or agar aaj bhi koi Umar bin Abdul Aziz jaysa hota to inko bhi kode lagaaye jaate.
...Sallallahu alayhi wasallam...
...Radiyallahu taala anh...
*📚TAARIKHUL KHULFA...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें