YAZID KI BAYAT OUR SAHAABA 39OUR40

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴






*🥀 MUHARRAM 🥀*




➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
      *YAZIID KI BAY-AT OR SAHAABA*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*```▶post-39```*

🔻Hazrate Amiir Muaaviya ki wafaat k baad yaziid ne hukumat par beth-te hi apni bay-at ( himaayat..support ) k liye har taraf hukmat k logon ko bheja..Madina e munavvarah k governer Waliid bin Uqbaa the...
      Unko bhi hukm diya gaya k tamaam madine k khaas O aam se meri bay-at lo..or khaas kar...
 ★ Husen bin Ali...
 ★ Abdullah bin Zubair...
 ★ Abdullah bin Umar...
      In se pehle bay-at lo or zara bhi in logon ko mohlat na dena...
🔻Waliid hukm sun kar ghabra gaya..k jaanta tha k yaziid ki bay-at in logon se lena aasaan nahi..usne mashware k liye Marwaan bin Hakam ko bulaya...
      Ye marwaan bin hakam wo hai...K...jab payda huwa tha to..tehniik ( bachche ko sabse pehli miithi chiiz chabaa kar khilaana ) k liye laaya gaya to Aaqa ne farmaya tha...k Ye girgit ka beta girgit hai..
🔻Marwaan ko or us k baap ko Aaqa ne girgit kaha or baap par laanat farmayi...or sheher badar ( tadiipaar ) kar k Taaif city mein rehne ka hukm diya tha..ayse ki awlaad se bhalaai ki kya ummiid...
      Usne Waliid ko mashwara diya k..In tino ko isi waqt bulaao or bay-at k liye kaho..agar kar lein to thik warna tino ko abhi qatal ( murder ) kar do...
🔻Jab tino ko bulaaya gaya to Imaame Husen ne farmaya...Tum bahar nikal kar logon ko is baat ki khabar do k Amir Muaaviya k baad ab hukumat par yaziid ka qabza hai...un k saamne muje bhi bay-at k liye kahein..

...Radiyallahu taala anhu...

*KHUTBAATE MUHARRAM...*

➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
    *IMAAM SE BAY-AT OR MARWAAN*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*```▶Post-40```*

🔻Waliid aman pasand tha...usne aapki baat maan lii...Jab aap jaane lage to Marwaan ghusse se bola...Tum inko jaane na do warna baad mein in par control karna naa mumkin ho jaayega...Imaame Husen bahar tashriif le gaye...
🔻Waliid ne sun kar kaha..Afsos tum muje aysa mashwara de rahe ho jisse meri diin ki tabaahi hai..kya mein Nawaasa E Rasool ko sirf is liye maar dun k unhone yaziid ki bay-at nai kii...Khuda ki qasam agar muje saari duniya ka maal O daulat mil jaaye to bhi mein un k khoon se apne haath rangiin nahi kar sakta...
🔻Imaame Husen jaante the k bay-at se inkaar se yaziid jaan ka dushman ban jaayega..Lekin aap k ghairat...taqwe or parhezgaari ne ye ganwaara na kiya k...Apni jaan bachaane k liye aik na-ahel k haath par bay-at kar lun or Nawaasa E Rasool ho kar islaam O musalmano ki tabaahi ki parwaa na karun...?

...Radiyallahu taala anhu...

*📚KHUBAATE MUHARRAM...*




👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

हुज़ूर ﷺ ने इमाम हुसैन رضی اللہ عنہ पर किसको कुर्बान किया है*05

मुहर्रम उल हराम में ब्याह शादी करना कैसा है* 02

आशूरा के दिन नेक काम करना कैसा* 09