SHIMAR ZIL JOSHAN IBNE SAA'AD 55OUR56
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 MUHARRAM 🥀*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
```SHIMAR ZIL JOSHAN - IBNE SAA-AD```
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*```▶Post-55```*
🔻Ibne saad ne khush hokar ibne ziyaad ko khat likha k maamla baghair khoon kharabe k hi hal ho gaya...Ibne ziyaad ne khat padhkar use manzoor bhi kar liya..
🔻Lekin shimar zil joshan khada huwa or kaha k... Agar aapne Husen ko jaane diya to wo taaqatwar ho jayega or tum kamzor ho jaoge agar ye baat manzoor kar li to kamzori ki nishaani hogi Unko to aap k hukm par sar jhuka dena chaahiye or aapko to saza dene ka bhi haq hai..rahi ibne saad ki baat to pata chala hai k wo or Husen raat raat bhar bethe baatein karte hain...
Shimar ki in baaton ne ibne ziyaad ki raay badal di or usne jawab diya k...Ibne saad Tumko isliye nahi bheja k Husen ko bachaane ki fikar karo or unki sifaarish karo...Agar Husen or un k saathi mere hukm par sar jhuka dein to mere paas bhej do or na maane to un k sar kaat kar bhej do...
Or agar tum ye nahi kar sakte to lashkar shimar k hawaale kar do ye hamari baat par amal karega.
*📚TAARIKHE TIBRI...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
```IMAAME HUSEN KA KHWAAB ```
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*```▶Post-Last```*
🔻Ye khat shimar k hawaale kiya or kaha k agar ibne saad na maane to pehle usi ka sar kaat dena...
Ibne saad ne khat padh kar kaha...Shimar khuda ki qasam ye tune hi use mere mashware par amal karne se roka or banti hui baat ko bigaad diya...khuda ki qasam Husen kabhi bhi ibne ziyaad k saamne sar nahi jhuka sakte.
🔻Shimar ne kaha k...Ye baat chhodo tum dushman ko qatal karte ho ya lashkar mere hawaale karte ho...?...Ibne saad par kursi sawaar thi usne kaha...Lashkar to tumhare hawaale nahi karunga...or Ye maamla to mein hi khatm karunga...Or hukm diya k hamla kar diya jaaye...
🔻Ye 9 moharram ki taariikh thi or Aap darwaaze par talwaar k sahaare ghutno me sar diye bethe huwe the k aankh lag gayi...Jab shor huwa to siyeda Zainab ne parde ki aad se dekh kar Aapko jaga kar kaha k dushman ki fauj ki aawaaz bohot qariib se aarahi hai..
Aapne sar utha kar farmaya..Abhi Mene Rasulullah ko dekha k keh rahe the...
TUM HAMAARE PAAS AANEWALE HO...ye sunkar Aapki behen beqaraar ho gayin.....
Aapne farmaya... Khamosh raho sabar karo Allah maalik hai..
Aapne Hazrate Abbas se kaha k dushmano se kaho k aaj raat ki mohlat do k raat bhar namaaz padh lein dua maang lein tauba or astaghfaar kar lein k Allah khoob jaanta hai k Mein namaaz or istighfaar se kitni muhabbat karta hun....
...Sallallahu alayhi wasallam...
...Ridwaanullahi taala
anhum ajmaiin...
*📚TAARIKHE TIBRI...*
*KHUTBAATE MUHARRAM...*
*🚨END*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें