SHANE SIDIQE AKBAR 01OUR02
🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴
*🥀 QAADRI FAIZ MUHARRAM 🥀*
*ALLAH K HABIIB KI SHAAN O RUTBA*
-
🔻Ye tamaam kaayenaat hamare Aaqa..alayhissalaa..ka sadqa hai...
Hazrte..Aadam...alyhissalaam..se lekar qayaamat tak or baad mein bhi aapka hi sadqa batega...
Aadam...alayhissalaam se jab laghzish hui to unhone isi mubaarak O muqaddas zaat k naame paak ko wasila banaaya to Allah rabbul izzat ne pucha k..
🔻Tumne is naam k baare mein kaise jaana...to Arz ki... Aey Allah tera naam bada hi baa barkat hai or jab tune muje payda farmaya to..
Meine arsh ki taraf dekha to us par ye likkha huwa dekha k...Allah k siwa koi maabud nahi Muhammed Allah k rasool hain...
Mein usi waqt jaan gaya k Allah k nazdiik is hasti se badh kar aziim koi nahi ho sakta k...Jiska naam Allah ne apne naam k sath likha..
Allah rabbul izzat ne irshad frmaya...Aye Aadam yahi wo zaat hai jo aapki awlaad mese aakhri Nabi honge or agar ye na hote to tuje paida na karta.
( mafhume hadis )
🔻Mafhume hadis...
Lohe mehfuuz chamkile motiyon se bana huwa hai..uski lambaai aasmaan o zamiin ki doori jitni Or...chodaai mashriq O maghrib ki doori k baraabar hai...
Us k aaspaas moti or yaaqut jade huwe hai..Uska qalam Noor ka hai Or uski peshaani pe likha hai..
★ Allah ki zaat wahdahu laasharik hai
★ Uska pasandida diin islaam hai
★ Muhammed us k barguzida bande
or Rasool hain...
sallallahu alayhi wa-aalihi wasallam
*📚KHUTBAATE MUHAARAM*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
*SHANE SIDDIIQE AKBAR radillahu anh*
➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖➖
-
🔻Aaqa...sallallaahu alayhi waaalihi wasallam...farmate hai...
Mafhume Ahaadis...
🔻kisi k bhi maal ne mujko itna faayda nahi pohnchaaya k jitna faayda Abubakr k maal ne pohnchaya.
🔻Aye Abubakr ghaare saur mein tum mere saath rahe Or hauze kausar par bhi tum mere sath rahoge.
🔻Aye Abubakr sunlo k meri ummat mein sabse pehle Tum jannat me daakhil honge.
🔻Abubakr se muhobbat Or unka Shukr adaa karna meri ummat par Waajib hai.
🔹Ye kuch hadiisein afzalul bashar baadal ambiya hazrat Abubakr siddiiq...radiyallahu taala anh...ki shaan me haazir hai.
In k ilaawa bhi bohot saari hadiisein is qism k mazmoon ki maujud hai...jin se zaahir hota hai k...
Aaqa...sallallahu alayhi wasallam...k nazdik saare sahaaba me sabse zyada qariib or sabse zyada pyare sabse zyada fazilat O azmat waale Siddiqe Akbar...radiyallahu taala anh...hi hai... Or aapki jaanashini k sabse pehle haqdaar wahi hai...
*📚MISHKAAT...TIRMIZI...*
*TAARIKHUL KHULFA...*
*KHUTBAATE*
👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें