03

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴






*🥀 ⓂOHARRAM AUR YAOM E ASHOORA 🥀*





*🅿art 03*

🌀 Hazrat Ibne Abbas رضي الله عنهما ki haddees per HUZOOR NABI KAREEM ﷺ k is irshad e girami k mayine ki waja se aetraaz hota hai k AAP ﷺ ne roza rakha to SAHABA E KIRAAM رضي الله عنهم ne arz kiya YA RASOOL ALLAH ﷺ, yahood o nasara is din ki tazeem karte hain?

🌀 To AAP ﷺ ne farmaya, jab aayinda saal aayega to hum 9wi tareekh ka roza bhi rakhenge.

🌀 Raawi farmate hain k aayinda saal abhi nahi aaya tha k HUZOOR NABI KAREEM ﷺ ka wisaal hogaya.
📕 *(Sunan Abu Daood, Raqam Al Hadees 2445)*

💠 Hazrat Qartabi farmate hain, lafz ashoora aashar se mubaligha aur tazeem k liye badla gaya hai asal me "ليلة عاشره" (10wi raat) ki sifat hai kyu k ye ashar se makhooz hai jo ek aqd (ginti) ka naam hai, aur din iski taraf mazaaf hai jab YAOM E ASHOORA kaha jata hai to goya 10wi raat ka din kaha gaya (YAOM UL LAELATUL AASHERA).

💠 Lekin jab unhone isko sifat se badal diya to ismey ghalib agayi pas maozoof ki zarurat na rahi lehaza isey hazaf kardiya is buniyaad per YAOM E ASHOORA asam me YAOM E AASHAR 10wa din hai, ye khaleel waghaera (ayema lughat) ka qaol hai.

💠 Ibne Muneer ne kaha k aksar hazraat k nazdeek YAOM E ASHOORA MUHARRAM UL HARAAM KA 10WA DIN HAI, ishteqaaq aur tasmiya ka miqteza bhi yahi hai (yaani 10wa din hai, ashar se makhooz hai).
📕 *(Mawahib Laduniyyah, Jild 3)*




👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

हुज़ूर ﷺ ने इमाम हुसैन رضی اللہ عنہ पर किसको कुर्बान किया है*05

मुहर्रम उल हराम में ब्याह शादी करना कैसा है* 02

आशूरा के दिन नेक काम करना कैसा* 09