03

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴






🥀 *TAZIYADAARI KA SHARAYI HUKUM*
*ℹMAM AHMED RAZA KHAN 🥀*





*🅿art 03🅰 *

🎊🎊🕌🕌🎊🎊🕌🕌🎊🎊

*MEHFIL MILAAD MEIN SHAHADAT NAAMA PADHNA*

*SAWAAL 2:*
*Kya irshad farmate hain ullama e deen is masle mein k majalis milaad shareef mein shahadat name ka padhna jayez hai ya nahi…???*

*JAWAAB:*
Shahadat naama nasar ya nazam jo aaj kal awaam mein raayej hain, aksar riwayaat baatila o be saropa se malu aur akazeyb maozua per mushtamil hain, aese bayaan ka padhna sunna shahadat ho, khwaah kuch aur majlis milaad Mubarak ho, khwaah kahi aur, mutalaqan haraam o na jayez hai.

Khususan jabke wo bayaan aesi khurafaat ko mutazammin ho jinse awaam k aqaed mein tazalzil waqe ho k phir to aur bhi zyada zeher qaatil hai, aese hi wajooh per nazar farmakar IMAM HUJJATUL ISLAM MUHAMMAD GHAZALI QUDAS SURAH ne hukum farmaya k shahadat naama padhna haraam hai.

*ALLAMA IBNE HAJAR MAKKI QUDAS SURAH yunhi jab k isse maqsood gham parwari o tasna o hazan ho to ye niyyat bhi shar’an na mahmood, shara mathar ne gham mein sabar o tasleem aur gham maojood ko hata al maqdoor dil se dur karne ka hukum diya hai, na k gham madoom ba takalluf o zoor laana, na k ba tasna o zor banana, na k isey baayis qurbat o sawaab thaerana, ye sab bid’aat shaniya rawafiz hain, jinse sunni ko ahteraaz yaani bachna laazim hai.*

Isme koi khoobi hoti to HUZOOR PUR NOOR SAYYAD E AALAM ki wafaat e aqdas ki gham parwari sabse zyada ehem o zaruri hoti, HUZOOR E AQDAS ka maah e wilaadat o maah e wafaat wahi Mubarak mahina RABI UL AWWAL SHAREEF HAI, phir ullama e ummat o hamiyaan e sunnat ne isey maatam wafaat na thaeraya balke wilaadat e aqdas banaya.

⚠ *IS SAWAAL K JAWAAB K 3 HISSE HAIN JISKO AAP AAGEY K 2 PARTS MEIN PADHENGE... (IN'SHA ALLAH)*

🔀 *Jaari...*





👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

हुज़ूर ﷺ ने इमाम हुसैन رضی اللہ عنہ पर किसको कुर्बान किया है*05

मुहर्रम उल हराम में ब्याह शादी करना कैसा है* 02

आशूरा के दिन नेक काम करना कैसा* 09