APKI DUA KA ASAR

🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴🏁🔴



*🥀 AAPKI DUA KA ASAR 🥀*



✏️ Minhaal ibne Umar se manqool hai ki ek baar Hajj E Baitullah ki garaz se Makkah Muazzama gaya hua tha Hazrat Imam Zainul Abideen رضي الله عنه bhi Hajj E Baitullah ko tashrif le gaye the aapki mulaqat ko gaya aur kadam bosi se musharraf hua mujhse Hazrat ne daryaaft farmaya ki khazima bin kahil al asfari ka kya haal hai (yeh shaks qaatil e Imam E Hussain رضي الله عنه mein sharik tha) maine arz ki isko koofe mein zinda chhod aaya hoon yeh sunkar aapne dua ke liye haath uthaya aur farmaya "Ai Allahﷻ isko aatish shuza ke hawale karde" raawi ka bayan hai ki jab main koofa aaya toh mukhtar ibne obaid uruj kar chuka tha meri mukhtar se dosti thi isliye maine isse mulaqat kiya toh dekhta hoon ki woh bhi sawar ho chuka hai main iske saath chala yahan ek mukaam par pahucha ke woh tahar gaya khazima ko giraftaar karke kuch log laaye mukhtar ne hukm diya fauran iske haath kaat daalo jal'laad ne haath kaat diye aur lakdiyo ke ambaar mein daal kar isko jala diya main yeh dekhkar Subhan Allah padhne laga toh mukhtaar ne mujhse iska sabab pucha maine sara kissa aapki mulaqat aur khazima ke haq mein bad'dua karne ka kaha yeh sunte hi mukhtar ghode se utar pada aur dogana shukrana ada kiya raaste mein mera makhaan padha woh mere makhaan par aaya maine khaane ki daawat di isne khana nahi khaya aur kaha ai dost Allah Ta'ala ne Hazrat Ali Ibne Hussain رضي الله عنه ki dua qabool farma kar aaj khazima ko mere haath se saza e aamal pahuchaya aur maine Hazrat Imam E Hussain رضي الله عنه ke qaatil ka intekaam liya iske shukriye mein main aaj roze se hoon. 

*18th Muharram Ul Haraam Wisaal Sharif Hazrat Sayyedna Imam Zainul Abideen رضي الله عنه*



👑👑👑👑👑👑👑👑👑👑
*🏁 MASLAKE AALA HAZRAT 🔴*

टिप्पणियाँ

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

हुज़ूर ﷺ ने इमाम हुसैन رضی اللہ عنہ पर किसको कुर्बान किया है*05

मुहर्रम उल हराम में ब्याह शादी करना कैसा है* 02

आशूरा के दिन नेक काम करना कैसा* 09